Followers

Sunday, May 21, 2017

Rewari ki ladakiyon ki bahaduri ko salam.


Rewari ki ladakiyon ki bahaduri ko salam.  Haryana men Rewari ka ganv Dahina aajkal khoob charcha men hai. is ganv ki 10 th  class ki pariksha dene waali baalikaon ne apne ganv men hi 12th class tak school ko upgrade karne ko lekar bhookh hartaal ki jo 7 din tak chali. 7 ven din Haryana sarkaar ke shiksha mantri ko is ganv ke 10 th class tak ke school ko 12th class tak upgrade karne ki ghoshna karni padi tab jaakar in ladkiyon ne apni strike ko khatm kiya.

Sarkaron ko zaayaz maangon ko ahinsak tarikon se maangane par baalikaaon ki baat sunane aur samajhane men 7 din ka samay lagna chinta ki baat hai. ganv ke schoolon men poore shikshak bhi nahin hote hain fir bhi chhatr / chhatrayen apni padhaai  ki lagan ko barkarar rakhe hue hain.

Is ganv ki 10th pass ladakiyon ko paas ke doosare gaanv men aage  ki  padhaai ke liye jana padhta hai. Raste men ladkiyon ko lafangon ki chhedchhad ka samna karna ek musibat thi. ladkiyon ke mata-pita in kaarnon se unhen aage ki padhaai ke liye doosare gaanv men bhejane par hichkichaate the. ek saath kai samasyaaon ko in bahadur ladkiyon ne desh aur samaj ke samne ujagar kiya hai . inke is sangharsh ko mera salam!

@Vinod Sharma"Veenu" 


धरना

कुर्सी हासिल करने के लिए आओ जनता से मांगें वोट हड़ताल करें  धरना अनशन करें जनता समझ न पाए सारी  खोट। विनोद कुमार शर्मा "वीनू...